India's Top Hindi Blog For Quotes, Hindi Stories

Sunday, 15 October 2017

Top Hindi Shayari Evergreen Collection

Best Hindi Shayari Collection

Hindi Shayari : Shayari zindagi me khushiyo ko laane ka achha rasta hai Hindi Shayari ke through ham Apne Gam ko halka kar sakte hai shayari dil ki wo jubaan hoti hai jisme kai badi baat bhi choti si line me kahi ja sakti hai.chaliye dosto ham padhte hai Top Hindi Shayari

Hindi-shayari


 Top Hindi Shayari

Main apni dhun me naya rasta banata hoo

Mujhe khayal nahi logo ke saath chalne ka 

Hindi Love Shayari

Deewna un ke pyar me gum is bala ka hai
Fikre baka ki hai na gam fana ka hai

Qismat Shayari In Hindi

कुछ पल मेरी ज़िन्दगी के यु ज़ुल्म ढा गए
मुझको मेरी निगाह से नीचा दिखा गए
 क़िस्मत ने ऐसे वक़्त में अच्छा मज़ाक किया
फाके थे घर  में तो मेहमान  आ गए

HIndi Mohabbat Shayari

Honto pe khushi sajaana hamesha
Apne gam ko chupana hamesha 
Yeh chahat ye ulfat ye baate wafa ki
Nafrato ko Watan se mitana hamesha

Best Shayari In Hindi

Wafa khuloos mohabat ke silsile toote
Zara si thes lagi yeh mujassame toote
Ameer e shahar ke bangle se mud gaya rasta
Sadak bani to gareebon ke ghar toote

Motivational Shayari

Badalne wale khud badalte hai jamane ko
Jamana khud ko badalta nahi kisi ke liye

********

Saaf dil aadmi kabhi Dosto
kisi ilzaam se nahi darta

********

Is shahar me ham aadmi jaise they waise hai
Na hamne wajah badli na baat badli

*******

कुछ समझ कर ही हुआ हूँ मौजे दरया का
वरना मैं जानता था आफ़ियत साहिल में है 

Best Hindi Shayari

Jamana aaj bhi uski misaal deta hai
Jo neki karke samandar me daal deta hai
Tum apni bhook ka ilzaam usko na do
Woh maa ke pet me bacche ko paal leta hai


Best Hindi Shayari

Hindi-motivational-shayari


Yaad Hindi Shayari

Ab yaad karne ki bhi himmat nahi rahti 
yaaro ne kitni door basayi hai bastiyan

Hindi Love Status

देख ले आकर मेरे गाँव में ए जलते सूरज 
धुप ही धुप नहीं साया ए दीवार भी है

Motivational Shayari In Hindi 

Utha hai dhuaa to phir sholon se kya darna 
Ham kachhe makano ki kismat me hai jalna

*******

Benoor ho chuki hai bahut fiza shahar me 
Andhere Raston me kahi kho na jaye ham

Best Status line

Kabhi Achhe bure Markaz pe thahar jata hai 
Waqt ka kaam hai guzarna Guzar jata hai
Jaike dhundhti rahti hai jubaan warna 
Pet to sookhe huye tukdon se bhi bhar jata hai

Ishq Shayari For Status

इश्क़ की स्कूल का दस्तूर निराला है 
उसको छुट्ठी न मिली जिस ने सबक़ याद किया 

Mohabbat Shayari In Hindi 

Mohabbat-hindi-shayari


Wafa khuloos Mohabbat ko aam karte hai
Jo achhe log hai woh achha kaam karte hai

Best Line In Hindi

ढूंढ़ने  निकले थे इंसान तेरे शहर में
सब के चेहरों पर लिखी जाते मिली

Life Shayari In Hindi

Guzri huyi zindagi likhne ka aaya tha khayal
Waqiye kuch aise yaad aaye qalam rakhna pada

*******

ज़िन्दगी का साज़ भी क्या साज़ है
बज रहा है और बे आवाज़ है

*******

Garib log to tinko ka dher hote hai
kabhi mitti me dab gaye kabhi paani me bah gaye

*******

Guzre huye zamane ka ab tazkera hi kya
Achha guzar gaya bahut achha guzar gaya

Friendship Shayari In Hindi

Ek bhi zakhm meri peeth par aane na diya
Mere dushman mere apno se to behtar nikle

Dard Shayari In Hindi

जो मर्ज़ कोई हो दवा करो जो बला कोई हो दवा करे
जो दवा में कोई असर न हो  वह क्या करे

Silent Shayari In Hindi

Chup rahne ki aadat jis karan badnaam huyi
Ab wo baat aam huyi Sunta Ja Sharmata Ja

Lover Hindi Shayari

Tere jaane se laga karta hai khali khali
Jaise is ghar me barso se Rihaaish na huyi ho

Best Line In Hindi

Kisi ke Paas Daulat Yeh Rahti Nahi
Sada Naav Kagaz ki Baheti Nahi

Sad Status Line

बड़ा शोर सुनते थे पहलु में दिल का
जो चीरा तो एक क़तरा खून न निकला

Top-Hindi-shayari
Top Hindi Shayari 

 जब मैं उदास था तो ज़माना था ,मुत्मइन 
अब मैं हूँ मुत्मइन तो ज़माना उदास है

Lover Shayari 

khabar sunkar mere marne ki wo bole dushmano se 
Khuda bakhshe bahut si khubiya thi marne wale me

Life Status

kisi ke kaam na aaye woh aadmi kya hai
jo apni fikr me guzre woh zindagi Kya hai

*******

Bure waqt me kaun kab kisi ka saath deta hai
Andheron me apna saaya bhi juda rehta hai

Top-hindi-shayari


आँधिया मगरूर दरख्तों को पटख जाएँगी 
बस वही शाख बचेंगी जो लचक जायेंगी 

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Recent Posts