India's Top Hindi Blog For Quotes, Hindi Stories

Thursday, 25 July 2019

Hindi Poem On Rainy Season बरसात का मौसम हिंदी कविता

Sab ke sar par chaye badal
Door tak lahraye badal

Jab barsat ka mausam aata
Barish me har koi nahata

Ham kagaz ki naav banate
Phir paani me use bahate

Raincoat aur chate nikle
Log bhi gaane gaate nikle

Ham School to sukhe jate
Aur udhar se bhige aate

Kahi ye barish khushiyaan laati
Kahi ghar aur deewar girati

Suraj chupkar baith gaya hai
Tez hai barish tez hawa hai

Door tak chaai hai ghataye
Bijli kadke sab dar jaye

Ped naha kar jhoom rahe hai
Mast hawa ko chum rahe hai

Garmi se kuch rahat paai
Phoolo par raunak aai

Barish ki hai ajab kahani
Ghar me paani bahar paani

Shahar huwa hai sara jal thal
Rainy day hojayenga kal

Chat par khoob nahayenge ham
Masti mauj manayenge ham

1 comment:

  1. Barsaat ka Mausam hai suhana best hindi poem hai maja aagaya

    ReplyDelete

Popular Posts

Recent Posts